Latest Dard Shayari - Lolz365days | Laughter is the Best Medicine

Monday, 25 January 2016

Latest Dard Shayari

Latest Dard Shayari

Humse bichhad ke wahan se paani ki ek boond bhi na nikli
Tamaam umra jin aankhon ko hum jheel kehte rahe.

Jab jaan pyari thi tab dushman hazaron the,
Ab marne ka shauk hai to kaatil nahi milte.

Ek silsile ki ummeed thi unse
Wohi faasle badhaate gaye
Hum to paas aane ki koshish mein the
Na jaane kyun woh humse dooriyan badhaate gaye.

Ab to aap ke liye ajnabi hum ho gaye hain
Baaton ke silsile bhi kam ho gaye hain
Khushiyon se zyada gham ho gaye hain
Kya pata yeh waqt bura hai ya bure hum ho gaye hain

Hamein kya pata tha mausam aise ro padega,
Humne to aasman ko bus apni dastan hi sunaai thi.

Roz dhalti huyi shaam se dar lagta hain
Ab mujhe ishq ke anjaam se dar lagta h Jab se tumne mujhe dhokha diya
Tabse mohabbat k nam se b dar lagta hai.

Yun durr rehkar duriyon ko badaya nahi karte
Apne deewano ko sataya nahi karte
Har waqt bas jise tumhara khyal ho
Usey apni awaaz ke liye tadpaya nahi karte..

Tumse pyar hai,tha aur hamesha rahega..
Tumhara intjar hai,tha,aur hamesa rahega..
Mujhe marne ki dua dene wali jara soch..
Mere marne ke baad jamana tujhe kya kya kahega

Hum ne udas rehne ki adat bana li ha,
Har din har rat guzrta he teri yad me,
Teri yad hum ne apni ebadat bana li

Aaj hum unhe bewafa batakar aaye hai,
Unhone likhe khatoan ko pani mai bahakar aaye hai,
Koi nikalkar padh na le unn khatoan ko  
Esliye pani mai aag lagakar aaye hai.....

Jis din se juda vo humse hue
is dil ne dharkna chor diya
Hai chaand ka mooh bhi utra utra
taaro ne chamkna chor diya..

Ab Bhi Taaza Hai Zakhm Seene Mein
Bin Tere Kya Rakha Hai Jeene Mein
Hum To Zinda Hain Tera Sath Paane Ko
Warna Dair Kitni Lagti Hai Zaher Peene Mein

Kuchh Kadam Hum Chale Kuchh Kadam Tum Chale 
Farq Sirf Itna Raha Hum Chale To Faasla Ghat-Ta Gaya
Aur Tum Chale To Faasla Badhta Gaya.

Vada Karke Tod Dena Unki Aadat Hai
Vada Karke Tod Dena Unki Aadat Hai
Vada Nibhana Humari Aadat Ho Gayi
Humein Bhulane Ki Unki Aadat Hai
Unhe Yaad Karne Ki Humari Aadat Ho Gayi.

Mana Ke Pyar Kisi Ka Mere Paas Nahi
Mgr Tumhein Meri Muhabbat Ka Ehsaas Nhi
Jane Pe Gaye Hum Kitne Ghum E Aansu
Ab Kuch Or Pane Ki Pyass Nhi…

No comments:

Post a Comment